Flight Ticket Book Kaise karein ? हिंदी में - Step by Step Tutorial.

Flight Ticket Online Booking: Hello Readers!! aaj hum janenge ki Flight Ticket Book Kaise karein ? Agar aap bhi flight se Travel karne ki soch rahe ho or, janna chah rahe ho ki flight ticket ki booking online kaise karte hain to aap sahi jagah par ho Boss..

Agar Flight Ticket Online Booking ki baat karein to yah kafy saral hai. agar aapko nahi pata to koi baat nahi kyunki hum aapko aahan par Flight Ticket Book karne ke sare tarike Steps by Step batayenge..

Flight se Travel karne ke fayde ke bare me bat kiya jaye to ah bahut hi faydemand hai, iski sahayta se bahut lambi dury kafy kam samay me tay kiya ja sakta hai. By Train humko jis dury ko travel karne me 22 se 30 ghante lagte hain utny hi dury hum Flight se 2 ghante me tay kar sakte hain.. Online Flight Ticket Booking karne se hum Booking Agent ko bhi jyada Paise dene se bach sakte hain.

You May Interested in: Simple way To find Nearest Paytm KYC Center.


Or agar bhade/Kiraye (fare) ki baat kiya jaye to Train me jo 1st Class ki fare hai lagbhag utna hi hume flight Ticket Book karne ke liye dene padte hain..

To Chaliye jante hain ki Online Flight Ticket Booking Kaise karte hain.. Flight Ticket Online Book karne ke liye aap jis AirLine ka Ticket Book karna chah rahe ho to uske Official Website se bhi ticket book kar sakte ho, or bahut sare third Party websites available hain, jaise ki MakeMyTrip, Paytm, IRCTC, etc.. 

Lekin hum aapko yahan par Kafy Saral Steps ke jariye batana chah rahe taki aapko tanik bhi preshany na ho.. Hum ahan par Paytm ka example lekar bata rahe hain Online flight Ticket Booking karne ke Process ko, aap chaho to kisi dusry Website se bhi Try kar Plane / Flight Ticket Book Kar Sakte ho.

Flight Ticket Book Kaise Kare Online? Step by Step Tutorial..

Step.1
Sabse pahle aapko Paytm Website ya App me Login ho jana hai. Uske bad aapko Flight Ticket Booking Page par jana hai.. iske liye aapko "Travel and Entertainment" ke andar "Flight" ko Choose kar lena hai.

for Online Flight Ticket Booking Choose Flight Option in Paytm App oe Website under Travel and Entertainment Section.

Step.2
Uske baad aapko Select karna hai ki aap ONEWAY ya ROUNDTRIP ke liye Book kar rahe ho. Agar aap Sirf jane ka Flight Ticket Book kar rahe to aapko Oneway Choose kar lena hai or Wahi par aapko "From" and "To" ko bhi Select kar lena hai ki aapko kaha se kaha jana hain, Usi ki niche aapko Departure Date Select kar lena hai, Travells Select karna hai ki kitne log ka aap ticket book kar rahe, Class Choose kar lena hai chahe wo Economy, Premium Economy ya Business Class ki ho. Or fir "Search Flight" par Click kar dena hai.
for Online Flight Ticket Booking Choose your Destinations and Journey date and click on search flight option

Step.3
Ab aapke samne sare Available Flights ki details aa jayegi, Time, Bhade/Kiraye, or Travel Time ke sath. Ab aapko apni suwidha ke anusar Flight ka Chayan kar lena hai. Or us Par Click kar dena hai.
for Online Flight Ticket Booking Choose the flight (as your Suitability along with time and fare)

Step.4
Screen par aapko Pury details dikhegy jise aapko Confirm kar Continue par Click kar dena hai, Agar aapko kisi Paytm Flight Coupon ke bare me pata ho to aap uska upyog kar sakte ho or paise bacha sakte ho.
for Online Flight Ticket Booking now verify the flight date and time

Step.5
Is Step me aapko Traveller details aany jisko flight se jana hai, uska sara details bharna hai jisme ki naam ko aap Pura Government id se Match kar ke daalna hai. Kyunki Name same hona chahiye Ticket me or Aapke Government id Proof me, ( kyunki Airport me Enter karne se pahle Check kar ke hi Enter karne diya jayega. ) Iske sath hi apna Mobile Number or Email id bhi Enter karna hai, jispar aapki Online Flight Ticket Booking details Receive karna ho. Or Continue kar dena h.
for Online Flight Ticket Booking Enter the Traveller Name as shown in Government Id Proof

Step.6

Ab aap Payment Page me pahuch gye ho. Aap kisi bhi Suitable Payment Methods ko chun kar us se Payment kar Sakte ho. Jaise hi aapka Payment Successful hoga, aapke Mobile Number & Email Address par Ticket aapko Prapt ho jayega. Ab is Ticket ko Print kra kar Apne Udaan ka aanand le sakte ho.. Tip:- (Mai aapko salah dena Chahunga ki agar aap flight se Travel karna chah rahe ho to aap pahle se Plan bna lein or Flight Ticket ko Travel Date se kuchh din pahle hi Book kar lein kyunki Current Date me Bhada/kiraya ya fare jyada hoty hai )



Conclusion about Flight Ticket Book Kaise karein:

Mai aasha karta hun ki aap is post (Flight Ticket Book Kaise karein ? हिंदी में - Step by Step Tutorial.) ko padhkar samajh gaye honge ki Online flight Ticket Booking kaise karte hain ? Agar aapko flight Ticket Booking se judy or koi bhi jankary chahiye ho ya or koi sujhaw ho to aap niche Comment kar bata sakte ho.

Post a Comment