How To Create PayPal Account for Shoppers? All details in Hindi

Create Paypal Account Free: Hello!! Hum aaj aapse bat karenge ki kese aap Paypal account free me create kar sakte ho. Paypal Account create karne ke bad aap aasani se Free International Payment (Money) Receive kar sakte ho. Or bat krein Security ki to paypal account ko hacker hack nhi kar Sakte kyunki ye bahut hi secure hai. To chaliye jante hain ki kese hum paypal account free me create kar account ko set up krenge.


How To Create PayPal Account, Step by Step in Hindi.

Sabse pahle aapko paypal ki official website Paypal.com visit karni hai. Aap chahein to ahan Click kar bhi visit kar sakte ho.

Website open hone par aapko wahan par  'Sign Up for Free' ka Option dikhega. Just uspar Click karna h.
Create-Paypal-Account-Free-Step-1


Next Creen Open ho jayega. Waha aapko aapko teen Types of Account dikhenge. Aapko apne jrurat ke hisab se Types of Account ko chun lena h.
For eg. Mujhe Shopping karna hai, isliye hum Sign Up "For Shoppers" ko Choose karenge or fir "Next" par Click krenge.
Create-Paypal-Account-Free-Step-2



Agle Page par aapko Apna Country Name Select karne ke sath hi, apna first Name, Middle Name, Last Name, Email id or sathi hi apna Password Choose kr lena hai.
Create-Paypal-Account-Free-Step-3



Jese hi "Next" par click kroge naye page khulega jis par aapse Aapka Address dalne ko kha jayega, Adress dalne ke bad aapko apna Date of Birth or Mobile Number Daalna hai. Uske bad Terms & Conditions ko Accept (Tick) karke "Agree and Create Account" par Click kar dena hai.
Create-Paypal-Account-Free-Step-4




Agle Page par aapko ek Message dikhega 'Your Account has been Created'. Ab aapko do options dikhenge 'Shop globally or locally' or dusra hoga 'Get paid faster'. Agar aapko shop karna hai to aapko Shop globally or locally ke niche "Get Started" par click kar dena hai..
Create-Paypal-Account-Free-Step-5



Agle Screen par aapse aapka Credit Card ya Debit Card Link karne ko kaha jayega. Ab aapko apna Card Number, Expiry Date and CVV ko enter karna hai. Uske bad "Link Card" par Click kar dena hai.
Create-Paypal-Account-Free-Step-6


Done!! Aapka PayPal Account free me Create ho gya, uper ke Simple Steps ko follow karke.. ab aapka Paypal Account free me Online Shopping, Recharge ya PayPal se Transaction karne ke liye teyar hai..


Conclusion:
Mein aasha krta hun ki aapne paypal account free me create kar liya hoga. Or free me paypal account set up bhi kar liya hoga. Or jese ki humne aapko btaya ki PayPal  bahut Secure hai aapko iske Account ki Security ko  lekar aapko tension lene ki jarurat nhi hai, kyunki paypal account ko hacker, hack nhi kar sakte hain. To aap bindaas hokar paypal ko use kijiye or apne Money ko Free me bina kisi Charge ke Receive kijiye direct apne Account me.. Agar abhi bhi aapko koi or jankari chahiye ho paypal account set up ya Create karne se Related to aap behichak niche Comment kar puchh Sakte ho...


1 comment

  1. Thank you for sharing such a nice blog that is pretty good and very helpful to me. i read an blog that is too good you can also visit the blog here on PayPal meaning in Hindi